Monday 9 May 2016

Whatsapp Se Video Call Kaise Karte Hai

Aaj ham is Article me janege Whatsapp Video Calling Feature ke bare me. Dosto aaj ke jamane me Whatsapp, Facebook ke baad 2nd No. par Sabse zayada use hone wala Apps hai. Whatsapp ko 2009 me banaya gya tha jiske Founder Jan Koum Aur Brian Action hai. Aur aaj 1 Billion se bhi zayada iske user hai. Aaj Whatsapp me har din kuch na kuch new Update hote rahta hai. To aaj ham is post me baat karenge Whatsapp Video Calling ke bare me ki kaise Whatsapp se Video call kar sakte hai. Waise whatsapp ne to is Feature ko Launch to nhi kiya hai abhi is par kaam chal raha hai. Kuch dino ke baad Whatsapp me video calling Defult ho jayega. Lekin aaj bhi ham Whatsaap se video call kar sakte hai. Jiske liye hame Booyah naam ka ek Apps Download karna hoga jiski madad se ham whatsapp me Video calling kar sakte hai. To chaliye jante hai ise use kaise karte hai.




 
Whatsapp se Video Calling Kaise Karte Hai.

Step 1 :----
Sabse pahle aap niche diye gye Download par click karke Booyah Video Chat for Whatsapp naam ka Apps Download kare. Ye sirf ios aur Android Version ke liye hai.


 
Step 2 :----
Ab install ho jane ke baad open kare aur Start Now! par click kare.


Step 3 :----
Start Now par click karte hi aapke Cell phone ka camera on ha jayega aura aapse Friend add karne ke liye batayega.

 Jaise hi aap Add par click karnge aap whatsapp open ho jayega ab aapko jisse bhi Video calling karna hai usko Invate kare. Invate karne par Booyah Apps ka link aapke Friend ke paas jayega Aur aapka Friend Booyah Apps ko Downlaod kar leta hai tb aap Ek dusre se Video Calling Kar sakte hai. To ab aapka pata chal hi gya hai ki Whatsapp Video Calling karne ke liye Aapke Friend ke mobile me bhi Booyah Apps Hona jaruri hai, Aur iski sabse badi khashyat ye hai ki aap Group Video Calling kar sakte hai.


To Dosto ye jankari aapko kaisi lagi hame Niche diye gye Comment Box me comment karke bateye aur aise hi new jankari ki update pane ke liye Hame Facebook Group se jude Aur Facebook page like kare. Aur ye jankari accha lage to apne Dosto ke sath Share karna na bhule. 

No comments:

Post a Comment