Thursday 26 May 2016

WhatsApp Ne Launch Kiya Desktop App PC 10 May 2016

Is time youth people ke liye WhatApp sabse jyada popular chating app bana hua hai. Pahle ye android smartphone me hi available tha. But ab aap apne computer (Desktop version) me bhi WhatsApp app istemal kar sakte hai. WhatsApp ne hal hi me WhatsApp desktop app launch kiya hai.
WhatsApp Launched Desktop AppShyada hi koi aysa internet user hoga jo wha
WhatsApp Launched Desktop App
tsapp use nahi karta ho. Har ek smartphone me whatsapp app jarur install milega. Magar mobile me choti screen or keyboard small hone ki wajah se user ko typing me problem hoti hai. Isiliye whatsapp company ne desktop version ke liye whatsapp ka desktop aap launch kiya hai

Whatsapp Ne Launch Kiya Desktop App Mac and Windows Ke Liye

Whatsapp ne desktop web ke 14 mahine bad desktop app ko 10 may 2016 ko launch kiya tha. Whatsapp blog post ke anusar ye windwos or Mac ke liye hai. Is apps ko company ki website whatsapp.com se download kiya ja sakta hai. WhatsApp desktop app only windows 8 or iske bad wale operating system par run karne wale devices, Mac OS 10.9 or iske bad ke operating system wale devices me hi work karega. Aap whatsapp desktop app ko whatsapp.com/download link se direct download kar sakte hai.
Whatsapp desktop app ke sath hi instant messaging or voice call app bhi istemall kar sakte hai. Company ne kaha hai ki ap aap chahe kahi bhi ho whatsapp use kar sakte hai. Ye bilkul wesa hi hoga jaisa aapke phone me hota hai. Yani ki whatsapp desktop ke jo features hai wo same mobile wharsapp app jaise hai. Ise whatsapp anroid app ka mirror kahna galat nahi hoga.
Whatsapp desktop app ke bare me adhik jankari ke liye aap WhatsApp blog ki Introducing WhatsApp’s desktop app post par visit kare. Jisme iske bare me puri jankari details me milegi.
Agar aapko whatsapp ke bare me ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

No comments:

Post a Comment